Kis Qadar Tha Garm Nala Bulbul-e-nashad Ka

kis qadar tha garm nala bulbul-e-nashad ka

aag phulon mein lagi ghar jal gaya sayyaad ka

sahl samjha tha satana bulbul-e-nashad ka

chaar nalon mein kaleja hil gaya sayyaad ka

zer-e-KHanjar main taDapta hun faqat is waste

KHun mera uD ke daman-gir ho jallad ka

dar-pae-azar pahle aasman itna na tha

pa gaya hai kuchh ishaara us sitam-ijad ka

ab to wo bhi loT hai bulbul teri aawaz par

barak-allah KHub phansa tu ne dil sayyaad ka

us ke sadqe jaiye jis ne tujhe paida kiya

shakl di hur-o-pari ki dil diya jallad ka

wasl mein kaisa adab ai jaan gustaKHi muaf

aaj lena hai mujhe tum se ewaz bedad ka

aap bhi KHanjar-ba-kaf hain main bhi hun sina-sipar

rah na jae aaj koi hausla bedad ka

mujh ko hai aisa chaman darkar jis mein ai 'jalil'

KHauf gulchin ka na ho khaTka na ho sayyaad ka

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Qadar Tha Garm Nala Bulbul-e-nashad Ka In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Kis Qadar Tha Garm Nala Bulbul-e-nashad Ka is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Kis Qadar Tha Garm Nala Bulbul-e-nashad Ka for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Kis Qadar Tha Garm Nala Bulbul-e-nashad Ka in PDF.