Kya Hina KHun-rez Nikli Hae Pis Jaane Ke Baad

kya hina KHun-rez nikli hae pis jaane ke baad

ban gai talwar un ke hath mein aane ke baad

jam-e-jam ki dhum hai sare jahan mein saqiya

manta hun main bhi lekin tere paimane ke baad

shukriya waiz jo mujh ko tark-e-mai ki di salah

ghaur main is par karunga hosh mein aane ke baad

shama mashuqon ko sikhlati hai tarz-e-ashiqi

jal ke parwane se pahle bujh ke parwane ke baad

aashna ho kar buton ke ho gae haq-ashna

hum ne kabe ki bina Dali hai but-KHane ke baad

main karun kis ka nazara dekh kar tera jamal

main sunun kis ka fasana tere afsane ke baad

sham-e-mahfil ka hua ye rang un ke samne

phul ki hoti hai surat jaise murjhane ke baad

sach ye kahte hain ki hansne ki jagah duniya nahin

chashm-e-ibrat hain chaman ke phul murjhane ke baad

fikr o kawish ho to niklen mani-e-rangin 'jalil'

lal ugalti hai zaban KHun-e-jigar khane ke baad

(669) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Hina KHun-rez Nikli Hae Pis Jaane Ke Baad In English By Famous Poet Jaleel Manikpuri. Kya Hina KHun-rez Nikli Hae Pis Jaane Ke Baad is written by Jaleel Manikpuri. Read famous Poem Kya Hina KHun-rez Nikli Hae Pis Jaane Ke Baad for youth and Student by Jaleel Manikpuri. Free Download Kya Hina KHun-rez Nikli Hae Pis Jaane Ke Baad in PDF.