Kal Tak Kitne Hangame The Ab Kitni KHamoshi Hai

kal tak kitne hangame the ab kitni KHamoshi hai

pahle duniya thi ghar mein ab duniya se ru-poshi hai

pal bhar jage gahri nind ka jhonka aaya Dub gae

koi ghaflat si ghaflat madhoshi si madhoshi hai

jitna pyar baDhaya hum se utna dard diya dil ko

jitne dur hue ho hum se utni ham-aghoshi hai

sab ko phul aur kaliyan banTo hum ko do sukhe patte

ye kaise tohfe lae ho ye kya barg-faroshi hai

rang-e-haqiqat kya ubhrega KHwab hi dekhte rahne se

jis ko tum koshish kahte ho wo to lazzat-koshi hai

hosh mein sab kuchh dekh ke bhi chup rahne ki majburi thi

kitni mani-KHez 'jamil' hamari ye be-hoshi hai

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Tak Kitne Hangame The Ab Kitni KHamoshi Hai In English By Famous Poet Jameel Malik. Kal Tak Kitne Hangame The Ab Kitni KHamoshi Hai is written by Jameel Malik. Read famous Poem Kal Tak Kitne Hangame The Ab Kitni KHamoshi Hai for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Kal Tak Kitne Hangame The Ab Kitni KHamoshi Hai in PDF.