Kya Kya Ba-dast-e-ghaib Sabhi Ne Liya Na Tha

kya kya ba-dast-e-ghaib sabhi ne liya na tha

lekin meri wafa ka koi bhi sila na tha

aawaza-e-raqib se uljhe hain bar bar

tujh se shikayaton ka magar hausla na tha

us ki nawazishon pe na itrao dosto

mujh par karam wo tha ki kisi par hua na tha

lete hain bar bar wo aise KHuda ka nam

duniya mein jaise aur kisi ka KHuda na tha

raste dayar-e-dil ke bhi kitne ajib the

sab rah-rau the koi yahan rahnuma na tha

dil ne to apni baat kahi sab ke ru-ba-ru

dil tha munafiqat se kabhi aashna na tha

shisha-garon ne us ki basirat bhi chhin li

aankhen thin us ke pas magar dekhta na tha

nadida manzilon ke musafir the kitne log

chalna tha jin ka kaam magar aasra na tha

kya bujh gae the mere hi ghar ke sabhi charagh

ya shahr bhar mein diya bhi jala na tha

us gul ka aab-o-rang hi tha ru-kash-e-bahaar

jo gul darun-e-shaKH tha lekin khila na tha

qatil to aur bhi the bahut shahr-e-dard mein

tujh sa magar 'jamil' koi dusra na tha

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kya Ba-dast-e-ghaib Sabhi Ne Liya Na Tha In English By Famous Poet Jameel Malik. Kya Kya Ba-dast-e-ghaib Sabhi Ne Liya Na Tha is written by Jameel Malik. Read famous Poem Kya Kya Ba-dast-e-ghaib Sabhi Ne Liya Na Tha for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Kya Kya Ba-dast-e-ghaib Sabhi Ne Liya Na Tha in PDF.