Baqi Daere Khaali Hain

rangon aur KHushbuon ki taKHliq se pahle

marne wale lamhe ki nam aankhon se

aainda ke KHwabon ki uryani ka dukh jhank raha tha

KHat-e-shuur se aaj agar hum

us lamhe ki samt kabhi dekhen to ruh mein jagti

gili miTTi ki aawaz sunai deti hai

ye duniya to miTe hue us daere ki surat ka aks hai

jis mein sochon aankhon aur harfon ke lakhon daere larzan hain

chaaron jaanib KHushbuon ke aangan mein jalte hue rangon ki lahren

hawa ki Dor se bandhi hui aisi kaTh-putliyan hain

jo apne janam ki saat se is pal tak

chup ki lai par nach rahi hain

jaane kab se uryan KHwabon ka pairahan pahne

aate jate lamhon par chillati hain

dekho ghaur se dekho

ye uryani maKHfi aur zahir mein zinda rabte ki KHatir

apni asl ki jaanib jhukte insanon ke

wasl-talab-jazbon ki tarah sawali hain

baqi daere KHali hain

(623) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baqi Daere Khaali Hain In English By Famous Poet Jameel Ur Rahman. Baqi Daere Khaali Hain is written by Jameel Ur Rahman. Read famous Poem Baqi Daere Khaali Hain for youth and Student by Jameel Ur Rahman. Free Download Baqi Daere Khaali Hain in PDF.