Main Apne Aap Se Kab Tak Tumhaara Nam Puchhunga

parindon se sabaq sikha shajar se guftugu ki hai

sawad-e-jaan ki KHamoshi mein Thahre

abr-e-tanhai ki udi zard chadar par

shua-e-yaad ke hathon likhi har be-nawa lamhe ki puri dastan

main ne paDhi hai

nashat-angez raaton aur KHwabon ke shafaq-alud chehre ko

jhulaste din ki KHira-kun faza mein

ek umr-e-raegan ke aaine mein mahw ho kar kab nahin dekha

baras guzre ruten biti watan se be-watan hone ki sari bebasi jheli

main barfani ilaqon margh-zaron wadiyon aur regzaron se

nishan-e-karwan chunta sada-e-raftagan sunta hua guzra

kahan mumkin tha lekin main ne jo dekha suna wo yaad rakkha ajab ye hai

nahin gar hafize mein kuchh to wo ek nam hai tera

KHabar kab thi ki bahti umr ki sarkash rawani mein

mujhe jo yaad rahna chahiye tha

main wahi ek nam bhulunga

parindon aur peDon se jahan bhi guftugu hogi

tumhaara zikr aate hi dhundalke

zehn mein ek mauja-e-tarik ban kar phailte jaenge

aur ye hafiza mafluj aankhon se mujhe

ghurega chillaega

KHauf-e-KHud-faramoshi se tum Darte the lekin ab

maal-e-KHud-faramoshi se tum kaise nibhaoge

ghubar andar ghubar angDaiyan lete hue

raste mein jo kuchh kho chuke ho us ko kaise DhunD paoge

ye lazim to nahin hai, ek an-bujhi paheli jab achanak yaad aa jae

use har haal mein har bar bujhoge

tum apne aap se kab tak kisi ka nam puchhoge

(881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apne Aap Se Kab Tak Tumhaara Nam Puchhunga In English By Famous Poet Jameel Ur Rahman. Main Apne Aap Se Kab Tak Tumhaara Nam Puchhunga is written by Jameel Ur Rahman. Read famous Poem Main Apne Aap Se Kab Tak Tumhaara Nam Puchhunga for youth and Student by Jameel Ur Rahman. Free Download Main Apne Aap Se Kab Tak Tumhaara Nam Puchhunga in PDF.