Jaane IsMein Gham Ya KHushi Hai Pahli Bar Mohabbat Ki Hai

jaane is mein gham ya KHushi hai pahli bar mohabbat ki hai

apne liye to baat nai hai pahli bar mohabbat ki hai

kise bataen kis se puchhen kyun ye taDap har dam rahti hai

kaise kahen ye KHush-KHabari hai pahli bar mohabbat ki hai

be-sudh sa rahta hun main kyun bhul gaya apnon ghairon ko

ek bas un ki yaad bachi hai pahli bar mohabbat ki hai

milne par bhi pabandi hai log kahen ye KHud-gharzi hai

is mein hamari kya ghalati hai pahli bar mohabbat ki hai

sun rakkha hai be-shak hum ne log nahin denge ab jine

duniya kar le jo karti hai pahli bar mohabbat ki hai

(949) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane IsMein Gham Ya KHushi Hai Pahli Bar Mohabbat Ki Hai In English By Famous Poet Jatinder Vir Yakhmi 'jayaveer'. Jaane IsMein Gham Ya KHushi Hai Pahli Bar Mohabbat Ki Hai is written by Jatinder Vir Yakhmi 'jayaveer'. Read famous Poem Jaane IsMein Gham Ya KHushi Hai Pahli Bar Mohabbat Ki Hai for youth and Student by Jatinder Vir Yakhmi 'jayaveer'. Free Download Jaane IsMein Gham Ya KHushi Hai Pahli Bar Mohabbat Ki Hai in PDF.