Abhi Ek Shor Sa UTha Hai Kahin

abhi ek shor sa uTha hai kahin

koi KHamosh ho gaya hai kahin

hai kuchh aisa ki jaise ye sab kuchh

is se pahle bhi ho chuka hai kahin

tujh ko kya ho gaya ki chizon ko

kahin rakhta hai DhunDhta hai kahin

jo yahan se kahin na jata tha

wo yahan se chala gaya hai kahin

aaj shamshan ki si bu hai yahan

kya koi jism jal raha hai kahin

hum kisi ke nahin jahan ke siwa

aisi wo KHas baat kya hai kahin

tu mujhe DhunD main tujhe DhunDun

koi hum mein se rah gaya hai kahin

kitni wahshat hai darmiyan-e-hujum

jis ko dekho gaya hua hai kahin

main to ab shahr mein kahin bhi nahin

kya mera nam bhi likha hai kahin

isi kamre se koi ho ke widaa

isi kamre mein chhup gaya hai kahin

mil ke har shaKHs se hua mahsus

mujh se ye shaKHs mil chuka hai kahin

(2784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Ek Shor Sa UTha Hai Kahin In English By Famous Poet Jaun Eliya. Abhi Ek Shor Sa UTha Hai Kahin is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Abhi Ek Shor Sa UTha Hai Kahin for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Abhi Ek Shor Sa UTha Hai Kahin in PDF.