Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se

abhi farman aaya hai wahan se

ki haT jaun main apne darmiyan se

yahan jo hai tanaffus hi mein gum hai

parinde uD rahe hain shaKH-e-jaan se

daricha baz hai yaadon ka aur main

hawa sunta hun peDon ki zaban se

zamana tha wo dil ki zindagi ka

teri furqat ke din laun kahan se

tha ab tak marka bahar ka darpesh

abhi to ghar bhi jaana hai yahan se

fulan se thi ghazal behtar fulan ki

fulan ke zaKHm achchhe the fulan se

KHabar kya dun main shahr-e-raftagan ki

koi lauTe bhi shahr-e-raftagan se

yahi anjam kya tujh ko hawas tha

koi puchhe to mir-e-dastan se

(2584) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se In English By Famous Poet Jaun Eliya. Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Abhi Farman Aaya Hai Wahan Se in PDF.