Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain

apne sab yar kaam kar rahe hain

aur hum hain ki nam kar rahe hain

tegh-bazi ka shauq apni jagah

aap to qatl-e-am kar rahe hain

dad-o-tahsin ka ye shor hai kyun

hum to KHud se kalam kar rahe hain

hum hain masruf-e-intizam magar

jaane kya intizam kar rahe hain

hai wo bechaargi ka haal ki hum

har kisi ko salam kar rahe hain

ek qattala chahiye hum ko

hum ye ealan-e-am kar rahe hain

kya bhala saghar-e-sifal ki hum

naf-pyale ko jam kar rahe hain

hum to aae the arz-e-matlab ko

aur wo ehtiram kar rahe hain

na uThe aah ka dhuan bhi ki wo

ku-e-dil mein KHiram kar rahe hain

us ke honTon pe rakh ke honT apne

baat hi hum tamam kar rahe hain

hum ajab hain ki us ke kuche mein

be-sabab dhum-dham kar rahe hain

(3036) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain In English By Famous Poet Jaun Eliya. Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Apne Sab Yar Kaam Kar Rahe Hain in PDF.