Baat Koi Umid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai

baat koi umid ki mujh se nahin kahi gai

so mere KHwab bhi gae so meri nind bhi gai

dil ka tha ek muddaa jis ne tabah kar diya

dil mein thi ek hi to baat wo jo faqat sahi gai

jaaniye kya talash thi 'jaun' mere wajud mein

jis ko main DhunDhta gaya jo mujhe DhunDhti gai

ek KHushi ka haal hai KHush-suKHanan ke darmiyan

izzat-e-shaeqin-e-gham thi jo rahi-sahi gai

bud-o-nabud ki tamiz ek azab thi ki thi

yani tamam zindagi dhund mein Dubti gai

us ke jamal ka tha din mera wajud aur phir

subh se dhup bhi gai raat se chandni gai

jab main tha shahr zat ka tha mera har-nafas azab

phir main wahan ka tha jahan haalat-e-zat bhi gai

gard-fashan hun dasht mein sina-zanan hun shahr mein

thi jo saba-e-samt-e-dil jaane kahan chali gai

tum ne bahut sharab pi us ka sabhi ko dukh hai 'jaun'

aur jo dukh hai wo ye hai tum ko sharab pi gai

(3018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Koi Umid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Baat Koi Umid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Baat Koi Umid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Baat Koi Umid Ki Mujhse Nahin Kahi Gai in PDF.