BaDa Ehsan Hum Farma Rahe Hain

baDa ehsan hum farma rahe hain

ki un ke KHat unhen lauTa rahe hain

nahin tark-e-mohabbat par wo raazi

qayamat hai ki hum samjha rahe hain

yaqin ka rasta tai karne wale

bahut tezi se wapas aa rahe hain

ye mat bhulo ki ye lamhat hum ko

bichhaDne ke liye milwa rahe hain

tajjub hai ki ishq-o-ashiqi se

abhi kuchh log dhoka kha rahe hain

tumhein chahenge jab chhin jaogi tum

abhi hum tum ko arzan pa rahe hain

kisi surat unhen nafrat ho hum se

hum apne aib KHud ginwa rahe hain

wo pagal mast hai apni wafa mein

meri aankhon mein aansu aa rahe hain

dalilon se use qail kiya tha

dalilen de ke ab pachhta rahe hain

teri banhon se hijrat karne wale

nae mahaul mein ghabra rahe hain

ye jazb-e-ishq hai ya jazba-e-raham

tere aansu mujhe rulwa rahe hain

ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko

hum apna jaan kar Thukra rahe hain

wafa ki yaadgaren tak na hongi

meri jaan bas koi din ja rahe hain

(2373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDa Ehsan Hum Farma Rahe Hain In English By Famous Poet Jaun Eliya. BaDa Ehsan Hum Farma Rahe Hain is written by Jaun Eliya. Read famous Poem BaDa Ehsan Hum Farma Rahe Hain for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download BaDa Ehsan Hum Farma Rahe Hain in PDF.