Bahar Guzar Di Kabhi Andar Bhi Aaenge

bahar guzar di kabhi andar bhi aaenge

hum se ye puchhna kabhi hum ghar bhi aaenge

KHud aahani nahin ho to poshish ho aahani

yun shisha hi rahoge to patthar bhi aaenge

ye dasht-e-be-taraf hai gumanon ka mauj-KHez

is mein sarab kya ki samundar bhi aaenge

aashuftagi ki fasl ka aaghaz hai abhi

aashuftagan palaT ke abhi ghar bhi aaenge

dekhen to chal ke yar tilismat-e-samt-e-dil

marna bhi paD gaya to chalo mar bhi aaenge

ye shaKHs aaj kuchh nahin par kal ye dekhiyo

us ki taraf qadam hi nahin sar bhi aaenge

(2224) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahar Guzar Di Kabhi Andar Bhi Aaenge In English By Famous Poet Jaun Eliya. Bahar Guzar Di Kabhi Andar Bhi Aaenge is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Bahar Guzar Di Kabhi Andar Bhi Aaenge for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Bahar Guzar Di Kabhi Andar Bhi Aaenge in PDF.