Be-qarari Si Be-qarari Hai

be-qarari si be-qarari hai

wasl hai aur firaq tari hai

jo guzari na ja saki hum se

hum ne wo zindagi guzari hai

nighare kya hue ki logon par

apna saya bhi ab to bhaari hai

bin tumhaare kabhi nahin aai

kya meri nind bhi tumhaari hai

aap mein kaise aaun main tujh bin

sans jo chal rahi hai aari hai

us se kahiyo ki dil ki galiyon mein

raat din teri intizari hai

hijr ho ya visal ho kuchh ho

hum hain aur us ki yaadgari hai

ek mahak samt-e-dil se aai thi

main ye samjha teri sawari hai

hadson ka hisab hai apna

warna har aan sab ki bari hai

KHush rahe tu ki zindagi apni

umr bhar ki umid-wari hai

(4821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-qarari Si Be-qarari Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Be-qarari Si Be-qarari Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Be-qarari Si Be-qarari Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Be-qarari Si Be-qarari Hai in PDF.