BhaTakta Phir Raha Hun Justuju Bin

bhaTakta phir raha hun justuju bin

sarapa aarzu hun aarzu bin

koi is shahr ko taraj kar de

hui hai meri wahshat ha-o-hu bin

ye sab mojiz-numai ki hawas hai

rafugar aae hain tar-e-rafu bin

maash-e-be-dilan puchho na yaro

numu pate rahe rizq-e-numu bin

guzar ai shauq ab KHalwat ki raaten

guzarish bin gila bin guftugu bin

(6026) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BhaTakta Phir Raha Hun Justuju Bin In English By Famous Poet Jaun Eliya. BhaTakta Phir Raha Hun Justuju Bin is written by Jaun Eliya. Read famous Poem BhaTakta Phir Raha Hun Justuju Bin for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download BhaTakta Phir Raha Hun Justuju Bin in PDF.