Chalo Baad-e-bahaari Ja Rahi Hai

chalo baad-e-bahaari ja rahi hai

piya-ji ki sawari ja rahi hai

shumal-e-jawedan-e-sabz-e-jaan se

tamanna ki amari ja rahi hai

fughan ai dushman-e-dar-e-dil-o-jaan

meri haalat sudhaari ja rahi hai

jo in rozon mera gham hai wo ye hai

ki gham se burdbari ja rahi hai

hai sine mein ajab ek hashr barpa

ki dil se be-qarari ja rahi hai

main paiham haar kar ye sochta hun

wo kya shai hai jo haari ja rahi hai

dil us ke ru-ba-ru hai aur gum-sum

koi arzi guzari ja rahi hai

wo sayyad bachcha ho aur shaiKH ke sath

miyan izzat hamari ja rahi hai

hai barpa har gali mein shor-e-naghma

meri fariyaad mari ja rahi hai

wo yaad ab ho rahi hai dil se ruKHsat

miyan pyaron ki pyari ja rahi hai

daregha teri nazdiki miyan-jaan

teri duri pe wari ja rahi hai

bahut bad-haal hain basti tere log

to phir tu kyun sanwari ja rahi hai

teri marham-nigahi ai masiha

KHarash-e-dil pe wari rahi hai

KHarabe mein ajab tha shor barpa

dilon se intizari ja rahi hai

(4974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chalo Baad-e-bahaari Ja Rahi Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Chalo Baad-e-bahaari Ja Rahi Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Chalo Baad-e-bahaari Ja Rahi Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Chalo Baad-e-bahaari Ja Rahi Hai in PDF.