Dil Ne Wafa Ke Nam Par Kar-e-wafa Nahin Kiya

dil ne wafa ke nam par kar-e-wafa nahin kiya

KHud ko halak kar liya KHud ko fida nahin kiya

KHira-saran-e-shauq ka koi nahin hai jumba-dar

shahr mein is giroh ne kis ko KHafa nahin kiya

jo bhi ho tum pe mo'tariz us ko yahi jawab do

aap bahut sharif hain aap ne kya nahin kiya

nisbat ilm hai bahut hakim-e-waqt ko aziz

us ne to kar-e-jahl bhi be-ulama nahin kiya

jis ko bhi shaiKH o shah ne hukm-e-KHuda diya qarar

hum ne nahin kya wo kaam han ba-KHuda nahin kiya

(4290) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ne Wafa Ke Nam Par Kar-e-wafa Nahin Kiya In English By Famous Poet Jaun Eliya. Dil Ne Wafa Ke Nam Par Kar-e-wafa Nahin Kiya is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Dil Ne Wafa Ke Nam Par Kar-e-wafa Nahin Kiya for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Dil Ne Wafa Ke Nam Par Kar-e-wafa Nahin Kiya in PDF.