Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Maine

ganwai kis ki tamanna mein zindagi main ne

wo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne

tera KHayal to hai par tera wajud nahin

tere liye to ye mahfil sajai thi main ne

tere adam ko gawara na tha wajud mera

so apni beKH-kuni ki kami na ki main ne

hain meri zat se mansub sad fasana-e-ishq

aur ek satr bhi ab tak nahin likhi main ne

KHud apne ishwa-o-andaz ka shahid hun main

KHud apni zat se barti hai be-ruKHi main ne

mere harif meri yakka-taziyon pe nisar

tamam umr halifon se jang ki main ne

KHarash-e-naghma se sina chhila hua hai mera

fughan ki tark na ki naghma-parwari main ne

dawa se faeda maqsud tha hi kab ki faqat

dawa ke shauq mein sehat tabah ki main ne

zabana-zan tha jigar-soz tishnagi ka azab

so jauf-e-sina mein dozaKH unDel li main ne

surur-e-mai pe bhi ghaalib raha shuur mera

ki har riayat-e-gham zehn mein rakhi main ne

gham-e-shuur koi dam to mujh ko mohlat de

tamam-umr jalaya hai apna ji main ne

ilaj ye hai ki majbur kar diya jaun

wagarna yun to kisi ki nahin suni main ne

raha main shahid-e-tanha nashin-e-masnad-e-gham

aur apne karb-e-ana se gharaz rakhi main ne

(2042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Maine In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Maine is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Maine for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ganwai Kis Ki Tamanna Mein Zindagi Maine in PDF.