Ghar Se Hum Ghar Talak Gae Honge

ghar se hum ghar talak gae honge

apne hi aap tak gae honge

hum jo ab aadmi hain pahle kabhi

jam honge chhalak gae honge

wo bhi ab hum se thak gaya hoga

hum bhi ab us se thak gae honge

shab jo hum se hua muaf karo

nahin pi thi bahak gae honge

kitne hi log hirs-e-shohrat mein

dar par KHud laTak gae honge

shukr hai is nigah-e-kam ka miyan

pahle hi hum khaTak gae honge

hum to apni talash mein akasr

az sama-ta-samak gae honge

us ka lashkar jahan-tahan yani

hum bhi bas be-kumak gae honge

'jaun' allah aur ye aalam

bich mein hum aTak gae honge

(1629) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Se Hum Ghar Talak Gae Honge In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ghar Se Hum Ghar Talak Gae Honge is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ghar Se Hum Ghar Talak Gae Honge for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ghar Se Hum Ghar Talak Gae Honge in PDF.