Guftugu Jab Muhaal Ki Hogi

guftugu jab muhaal ki hogi

baat us ki misal ki hogi

zindagi hai KHayal ki ek baat

jo kisi be-KHayal ki hogi

thi jo KHushbu saba ki chadar mein

wo tumhaari hi shaal ki hogi

na samajh paenge wo ahl-e-firaq

jo aziyyat visal ki hogi

dil pe tari hai ek kamal-e-KHushi

shayad apne zawal ki hogi

jo ata ho visal-e-jaanan ki

wo udasi kamal ki hogi

aaj kahna hai dil ko haal apna

aaj to sab ke haal ki hogi

ho chuka main so fikr yaron ko

ab meri dekh-bhaal ki hogi

ab KHalish kya firaq ki us ke

ek KHalish mah-o-sal ki hogi

kufr-o-iman kaha gaya jis ko

baat wo KHadd-o-KHal ki hogi

'jaun' dil ke KHutan mein aaya hai

har ghazal ek ghazal ki hogi

kab bhala aaegi jawab ko ras

jo bhi haalat sawal ki hogi

(2788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guftugu Jab Muhaal Ki Hogi In English By Famous Poet Jaun Eliya. Guftugu Jab Muhaal Ki Hogi is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Guftugu Jab Muhaal Ki Hogi for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Guftugu Jab Muhaal Ki Hogi in PDF.