Hai Ajab Haal Ye Zamane Ka

hai ajab haal ye zamane ka

yaad bhi taur hai bhulane ka

pasand aaya bahut hamein pesha

KHud hi apne gharon ko Dhane ka

kash hum ko bhi ho nasib kabhi

aish-e-daftar mein gungunane ka

aasman hai KHamoshi-e-jawed

main bhi ab lab nahin hilane ka

jaan kya ab tera piyala-e-naf

nashsha mujh ko nahin pilane ka

shauq hai is dil-e-darinda ko

aap ke honT kaT khane ka

itna nadim hua hun KHud se ki main

ab nahin KHud ko aazmane ka

kya kahun jaan ko bachane main

'jaun' KHatra hai jaan jaane ka

ye jahan 'jaun' ek jahannum hai

yan KHuda bhi nahin hai aane ka

zindagi ek fan hai lamhon ko

apne andaz se ganwane ka

(3023) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Ajab Haal Ye Zamane Ka In English By Famous Poet Jaun Eliya. Hai Ajab Haal Ye Zamane Ka is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Hai Ajab Haal Ye Zamane Ka for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Hai Ajab Haal Ye Zamane Ka in PDF.