Haalat-e-haal Ke Sabab Haalat-e-haal Hi Gai

haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai

shauq mein kuchh nahin gaya shauq ki zindagi gai

tera firaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye

yani tere firaq mein KHub sharab pi gai

tere visal ke liye apne kamal ke liye

haalat-e-dil ki thi KHarab aur KHarab ki gai

us ki umid-e-naz ka hum se ye man tha ki aap

umr guzar dijiye umr guzar di gai

ek hi hadsa to hai aur wo ye ki aaj tak

baat nahin kahi gai baat nahin suni gai

baad bhi tere jaan-e-jaan dil mein raha ajab saman

yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gai

us ke badan ko di numud hum ne suKHan mein aur phir

us ke badan ke waste ek qaba bhi si gai

mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam

naf-piyale ki tere yaad ajab sahi gai

kahni hai mujh ko ek baat aap se yani aap se

aap ke shahr-e-wasl mein lazzat-e-hijr bhi gai

sehn-e-KHayal-e-yar mein ki na basar shab-e-firaq

jab se wo chandna gaya jab se wo chandni gai

(4700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haalat-e-haal Ke Sabab Haalat-e-haal Hi Gai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Haalat-e-haal Ke Sabab Haalat-e-haal Hi Gai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Haalat-e-haal Ke Sabab Haalat-e-haal Hi Gai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Haalat-e-haal Ke Sabab Haalat-e-haal Hi Gai in PDF.