Hawas Mein To Na The Phir Bhi Kya Na Kar Aae

hawas mein to na the phir bhi kya na kar aae

ki dar par gae hum aur phir utar aae

ajib haal ke majnun the jo ba-ishwa-o-naz

ba-su-e-baad ye mahmil mein baiTh kar aae

kabhi gae the miyan jo KHabar ke sahra ki

wo aae bhi to bagulon ke sath ghar aae

koi junun nahin saudaiyan-e-sahra ko

ki jo azab bhi aae wo shahr par aae

batao dam guru chahiye tumhein ab kya

parindagan-e-hawa KHak par utar aae

ajab KHulus se ruKHsat kiya gaya hum ko

KHayal-e-KHam ka tawan tha so bhar aae

(1894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawas Mein To Na The Phir Bhi Kya Na Kar Aae In English By Famous Poet Jaun Eliya. Hawas Mein To Na The Phir Bhi Kya Na Kar Aae is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Hawas Mein To Na The Phir Bhi Kya Na Kar Aae for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Hawas Mein To Na The Phir Bhi Kya Na Kar Aae in PDF.