Hijr Ki Aankhon Se Aankhen To Milate Jaiye

hijr ki aankhon se aankhen to milate jaiye

hijr mein karna hai kya ye to batate jaiye

ban ke KHushbu ki udasi rahiye dil ke bagh mein

dur hote jaiye nazdik aate jaiye

jate jate aap itna kaam to kije mera

yaad ka sara sar-o-saman jalate jaiye

rah gai ummid to barbaad ho jaunga main

jaiye to phir mujhe sach-much bhulate jaiye

zindagi ki anjuman ka bas yahi dastur hai

baDh ke miliye aur mil kar dur jate jaiye

aaKHirash rishta to hum mein ek KHushi ek gham ka tha

muskuraate jaiye aansu bahate jaiye

wo gali hai ek sharabi chashm-e-kafir ki gali

us gali mein jaiye to laDkhaDate jaiye

aap ko jab mujh se shikwa hi nahin koi to phir

aag hi dil mein lagani hai lagate jaiye

kuch hai KHwabon se tabiron ki samton mein to phir

jaiye par dam-ba-dam barbaad jate jaiye

aap ka mehman hun main aap mere mezban

so mujhe zahr-e-murawwat to pilate jaiye

hai sar-e-shab aur mere ghar mein nahin koi charagh

aag to is ghar mein jaanana lagate jaiye

(4408) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Ki Aankhon Se Aankhen To Milate Jaiye In English By Famous Poet Jaun Eliya. Hijr Ki Aankhon Se Aankhen To Milate Jaiye is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Hijr Ki Aankhon Se Aankhen To Milate Jaiye for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Hijr Ki Aankhon Se Aankhen To Milate Jaiye in PDF.