KHwab Ke Rang Dil-o-jaan Mein Sajae Bhi Gae

KHwab ke rang dil-o-jaan mein sajae bhi gae

phir wahi rang ba-sad taur jalae bhi gae

unhin shahron ko shitabi se lapeTa bhi gaya

jo ajab shauq-e-faraKHi se bichhae bhi gae

bazm shoKHi ka kisi ki kahen kya haal-e-jahan

dil jalae bhi gae aur bujhae bhi gae

pusht miTTi se lagi jis mein hamari logo

usi danggal mein hamein daw sikhae bhi gae

yaad-e-ayyam ki ek mahfil-e-jaan thi ki jahan

hath khinche bhi gae aur milae bhi gae

hum ki jis shahr mein the sog-nashin-e-ahwal

rose is shahr mein hum dhum machae bhi gae

yaad mat rakhiyo ye rudad hamari hargiz

hum the wo taj-mahal 'jaun' jo Dhae bhi gae

(1732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Ke Rang Dil-o-jaan Mein Sajae Bhi Gae In English By Famous Poet Jaun Eliya. KHwab Ke Rang Dil-o-jaan Mein Sajae Bhi Gae is written by Jaun Eliya. Read famous Poem KHwab Ke Rang Dil-o-jaan Mein Sajae Bhi Gae for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download KHwab Ke Rang Dil-o-jaan Mein Sajae Bhi Gae in PDF.