Koi Dam Bhi Main Kab Andar Raha Hun

koi dam bhi main kab andar raha hun

liye hain sans aur bahar raha hun

dhuen mein sans hain sanson mein pal hain

main raushan-dan tak bas mar raha hun

fana har dam mujhe ginti rahi hai

main ek dam ka tha aur din bhar raha hun

zara ek sans roka to laga yun

ki itni der apne ghar raha hun

ba-juz apne mayassar hai mujhe kya

so KHud se apni jeben bhar raha hun

hamesha zaKHm pahunche hain mujhi ko

hamesha main pas-e-lashkar raha hun

liTa de nind ke bistar pe ai raat

main din bhar apni palkon par raha hun

(1633) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Dam Bhi Main Kab Andar Raha Hun In English By Famous Poet Jaun Eliya. Koi Dam Bhi Main Kab Andar Raha Hun is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Koi Dam Bhi Main Kab Andar Raha Hun for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Koi Dam Bhi Main Kab Andar Raha Hun in PDF.