Mujhe Gharaz Hai Meri Jaan Ghul Machane Se

mujhe gharaz hai meri jaan ghul machane se

na tere aane se matlab na tere jaane se

ajib hai meri fitrat ki aaj hi maslan

mujhe sukun mila hai tere na aane se

ek ijtihad ka pahlu zarur hai tujh mein

KHushi hui tere na-waqt muskurane se

ye mera josh-e-mohabbat faqat ibarat hai

tumhaari champai ranon ko noch khane se

mohazzab aadmi patlun ke baTan to laga

ki irtiqa hai ibarat baTan lagane se

(3231) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Gharaz Hai Meri Jaan Ghul Machane Se In English By Famous Poet Jaun Eliya. Mujhe Gharaz Hai Meri Jaan Ghul Machane Se is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Mujhe Gharaz Hai Meri Jaan Ghul Machane Se for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Mujhe Gharaz Hai Meri Jaan Ghul Machane Se in PDF.