Sham Thi Aur Barg-o-gul Shal The Magar Saba Bhi Thi

sham thi aur barg-o-gul shal the magar saba bhi thi

ek ajib sukut tha ek ajab sada bhi thi

ek malal ka sa haal mahw tha apne haal mein

raqs-o-nawa the be-taraf mahfil-e-shab bapa bhi thi

sama-e-sada-e-jaan be-sarokar tha ki tha

ek guman ki dastan bar-lab nim-wa bhi thi

kya mah-o-sal majra ek palak thi jo miyan

baat ki ibtida bhi thi baat ki intiha bhi thi

ek surud-e-raushani nima-e-shab ka KHwab tha

ek KHamosh tirgi saneha-ashna bhi thi

dil tera pesha-e-gila-e-kaam KHarab kar gaya

warna to ek ranj ki haalat-be-gila bhi thi

dil ke muamle jo the un mein se ek ye bhi hai

ek hawas thi dil mein jo dil se gurez-pa bhi thi

baal-o-par-e-KHayal ko ab nahin samt-o-su nasib

pahle thi ek ajab faza aur jo pur-faza bhi thi

KHushk hai chashma-sar-e-jaan zard hai sabza-zar-e-dil

ab to ye sochiye ki yan pahle kabhi hawa bhi thi

(2261) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham Thi Aur Barg-o-gul Shal The Magar Saba Bhi Thi In English By Famous Poet Jaun Eliya. Sham Thi Aur Barg-o-gul Shal The Magar Saba Bhi Thi is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Sham Thi Aur Barg-o-gul Shal The Magar Saba Bhi Thi for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Sham Thi Aur Barg-o-gul Shal The Magar Saba Bhi Thi in PDF.