Shamshir Meri, Meri Sipar Kis Ke Pas Hai

shamshir meri, meri sipar kis ke pas hai

do mera KHud par mera sar kis ke pas hai

darpesh ek kaam hai himmat ka sathiyo

kasna hai mujh ko meri kamar kis ke pas hai

tari ho mujh pe kaun si haalat mujhe batao

mera hisab-e-naf-o-zarar kis ke pas hai

ai ahl-e-shahr main to dua-go-e-shahr hun

lab par mere dua hai asar kis ke pas hai

dad-o-sitad ke shahr mein hone ko aai sham

KHwahish hai mere pas KHabar kis ke pas hai

pur-haal hun pa surat-e-ahwal kuchh nahin

hairat hai mere pas nazar kis ke pas hai

ek aaftab hai meri jeb-e-nigah mein

pahnai-e-numud-e-sahar kis ke pas hai

qissa kishor ka nahin koshak ka hai ki hai

darwaza sab ke pas hai ghar kis ke pas hai

mehman-e-qasr hain hamein kuchh ramz chahiyen

ye puchh ke batao khanDar kis ke pas hai

uthla sa naf-pyala hamari nahin talash

ai laDkiyo! batao bhanwar kis ke pas hai

naKHun baDhe hue hain mere mujh se kar hazar

ye ja ke dekh nail-cutter kis ke pas hai

(1913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shamshir Meri, Meri Sipar Kis Ke Pas Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Shamshir Meri, Meri Sipar Kis Ke Pas Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Shamshir Meri, Meri Sipar Kis Ke Pas Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Shamshir Meri, Meri Sipar Kis Ke Pas Hai in PDF.