Sharmindagi Hai Hum Ko Bahut Hum Mile Tumhein

sharmindagi hai hum ko bahut hum mile tumhein

tum sar-ba-sar KHushi the magar gham mile tumhein

main apne aap mein na mila is ka gham nahin

gham to ye hai ki tum bhi bahut kam mile tumhein

hai jo hamara ek hisab us hisab se

aati hai hum ko sharm ki paiham mile tumhein

tum ko jahan-e-shauq-o-tamanna mein kya mila

hum bhi mile to darham o barham mile tumhein

ab apne taur hi mein nahin tum so kash ki

KHud mein KHud apna taur koi dam mile tumhein

is shahr-e-hila-ju mein jo mahram mile mujhe

fariyaad jaan-e-jaan wahi mahram mile tumhein

deta hun tum ko KHushki-e-mizhgan ki main dua

matlab ye hai ki daman-e-pur-nam mile tumhein

main un mein aaj tak kabhi paya nahin gaya

jaanan jo mere shauq ke aalam mile tumhein

tum ne hamare dil mein bahut din safar kiya

sharminda hain ki us mein bahut KHam mile tumhein

yun ho ki aur hi koi hawwa mile mujhe

ho yun ki aur hi koi aadam mile tumhein

(9250) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharmindagi Hai Hum Ko Bahut Hum Mile Tumhein In English By Famous Poet Jaun Eliya. Sharmindagi Hai Hum Ko Bahut Hum Mile Tumhein is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Sharmindagi Hai Hum Ko Bahut Hum Mile Tumhein for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Sharmindagi Hai Hum Ko Bahut Hum Mile Tumhein in PDF.