Dukh Ke Jangal Mein Phirte Hain Kab Se Mare Mare Log

dukh ke jangal mein phirte hain kab se mare mare log

jo hota hai sah lete hain kaise hain bechaare log

jiwan jiwan hum ne jag mein khel yahi hote dekha

dhire dhire jiti duniya dhire dhire haare log

waqt singhasan par baiTha hai apne rag sunata hai

sangat dene ko pate hain sanson ke uktare log

neki ek din kaam aati hai hum ko kya samjhate ho

hum ne be-bas marte dekhe kaise pyare pyare log

is nagri mein kyun milti hai roTi sapnon ke badle

jin ki nagri hai wo jaanen hum Thahre banjare log

(1986) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dukh Ke Jangal Mein Phirte Hain Kab Se Mare Mare Log In English By Famous Poet Javed Akhtar. Dukh Ke Jangal Mein Phirte Hain Kab Se Mare Mare Log is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Dukh Ke Jangal Mein Phirte Hain Kab Se Mare Mare Log for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Dukh Ke Jangal Mein Phirte Hain Kab Se Mare Mare Log in PDF.