Gham Hote Hain Jahan Zehanat Hoti Hai

gham hote hain jahan zehanat hoti hai

duniya mein har shai ki qimat hoti hai

akasr wo kahte hain wo bas mere hain

akasr kyun kahte hain hairat hoti hai

tab hum donon waqt chura kar late the

ab milte hain jab bhi fursat hoti hai

apni mahbuba mein apni man dekhen

bin man ke laDkon ki fitrat hoti hai

ek kashti mein ek qadam hi rakhte hain

kuchh logon ki aisi aadat hoti hai

(1553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Hote Hain Jahan Zehanat Hoti Hai In English By Famous Poet Javed Akhtar. Gham Hote Hain Jahan Zehanat Hoti Hai is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Gham Hote Hain Jahan Zehanat Hoti Hai for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Gham Hote Hain Jahan Zehanat Hoti Hai in PDF.