RaKHt-e-safar Ko Khol Kar Ab Hun Qayam Ke Qarib

raKHt-e-safar ko khol kar ab hun qayam ke qarib

dhup ke dasht se pare qariya-e-sham ke qarib

shaKH se khinch kar mujhe lai hai bhuk KHak par

rizq uThaun kis tarah rakkha hai dam ke qarib

puchha jo main ne kaun hai hurmat-e-lafz ka amin

us ne kaha ye bojh hai tere hi nam ke qarib

ye din jo pura wast se hai mere ghar ke sehn mein

is ki sahar hai dar ke pas sham hai baam ke qarib

ye jo hain zard saaten sabza hai un ki nok par

ye jo safed chup si hai ab hai kalam ke qarib

kitni imaraten khaDi ki hain hawa ko khod kar

'shahin' ye kaam to nahin phir bhi hai kaam ke qarib

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RaKHt-e-safar Ko Khol Kar Ab Hun Qayam Ke Qarib In English By Famous Poet Javed Shaheen. RaKHt-e-safar Ko Khol Kar Ab Hun Qayam Ke Qarib is written by Javed Shaheen. Read famous Poem RaKHt-e-safar Ko Khol Kar Ab Hun Qayam Ke Qarib for youth and Student by Javed Shaheen. Free Download RaKHt-e-safar Ko Khol Kar Ab Hun Qayam Ke Qarib in PDF.