Har Dil Jo Hai Betab To Har Ek Aankh Bhari Hai

har dil jo hai betab to har ek aankh bhari hai

insan pe sach-much koi uftad paDi hai

rah-rau bhi wahi aur wahi rahbari bhi

manzil ka pata hai na kahin rah mili hai

muddat se rahi farsh teri rahguzar mein

tab ja ke sitaron se kahin aankh laDi hai

aisa bhi kahin dekha hai mai-KHane ka dastur

har chashm hai labrez har ek jam tahi hai

ruKHsar-e-bahaaran pe chamakti hui surKHi

kahti hai ki gulshan mein abhi subh hui hai

samjha hai tu zarre ko faqat zarra-e-nachiz

chhoTi si ye duniya hai jo suraj se baDi hai

duniya mein koi ahl-e-nazar hi nahin baqi

kotah-nigahi hai teri kam-nazari hai

madhosh faza mast hawa hosh ki mat puchh

waraftagi-e-shauq hai ek gum-shudagi hai

kanTon pe chale hain to kahin phul khile hain

phulon se mile hain to baDi choT lagi hai

phir soch lo ek bar abhi waqt hai 'jawed'

shikwe mein kuchh andesha-e-KHatir-shikani hai

(662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Dil Jo Hai Betab To Har Ek Aankh Bhari Hai In English By Famous Poet Javed Vashisht. Har Dil Jo Hai Betab To Har Ek Aankh Bhari Hai is written by Javed Vashisht. Read famous Poem Har Dil Jo Hai Betab To Har Ek Aankh Bhari Hai for youth and Student by Javed Vashisht. Free Download Har Dil Jo Hai Betab To Har Ek Aankh Bhari Hai in PDF.