Ab Ke Maidan Raha Lashkar-e-aghyar Ke Hath

ab ke maidan raha lashkar-e-aghyar ke hath

girwi us par paDe the mere salar ke hath

zehn is KHauf se hone lage banjar ki yahan

achchhi taKHliq par kaT jate hain meamar ke hath

ab sar-e-qarya-e-be-dast paDa hai kashkol

roz kaT jate the is shahr mein do-chaar ke hath

luT kuchh aisi machi shahr ka dar khulte hi

har taraf se nikal aae dar-o-diwar ke hath

hum sar-e-shaKH-e-sinan qarya-ba-qarya mahke

hum ne is jang mein sar jit liye haar ke hath

saya-sozi mein to hum log the suraj ke halif

ab hadaf Thahre ki jab jal gae ashjar ke hath

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ke Maidan Raha Lashkar-e-aghyar Ke Hath In English By Famous Poet Jawaz Jafri. Ab Ke Maidan Raha Lashkar-e-aghyar Ke Hath is written by Jawaz Jafri. Read famous Poem Ab Ke Maidan Raha Lashkar-e-aghyar Ke Hath for youth and Student by Jawaz Jafri. Free Download Ab Ke Maidan Raha Lashkar-e-aghyar Ke Hath in PDF.