Ada Zaban Se Harf-e-nahin Ziyaada Hua

ada zaban se harf-e-nahin ziyaada hua

isi pe qatl mera sara KHanwada hua

talab ne zin sajai kiran ke ghoDe par

kabhi jo sair-e-mah-o-mahr ka irada hua

hamin ne jast bhari waqt ke samundar mein

hamin se daman-e-arz-o-sama kushada hua

adu ne luT li maqtal mein jab meri poshak

to mera KHun mere jism ka libaada hua

adab ka zina mila zist ka qarina mila

kahan kahan na tere gham se istifada hua

faras ko dur kiya sar se taj utar diya

tumhaare shahr mein pahuncha to main piyaada hua

mein dam-ba-KHud hun mere sar pe saeban-e-falak

baghair chob ke kyun-kar hai istada hua

(1012) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ada Zaban Se Harf-e-nahin Ziyaada Hua In English By Famous Poet Jawaz Jafri. Ada Zaban Se Harf-e-nahin Ziyaada Hua is written by Jawaz Jafri. Read famous Poem Ada Zaban Se Harf-e-nahin Ziyaada Hua for youth and Student by Jawaz Jafri. Free Download Ada Zaban Se Harf-e-nahin Ziyaada Hua in PDF.