Maine Apna Wajud GaThDi Mein Bandh Liya

chauthi bar

bangal ki gati nadiya ke kinare

wo mujh par munkashif hoi

jahan sunahri machhliyan

nile suron ko biloti thin

aur raushni banTte peD kalam karte the

us ki sahar phunkti aankh ne

mujhe parinda banne ka hukm diya

main us ke shane ki hari shaKH par baiTh kar

apna lahn ijad karne laga

us ke hare badan ka saya

siwa neze pe tha

main ne us ke badan ke sae se

narm bichhauna taKHliq kiya

aur duniya ke chehre par thuk diya

ek tawil nind ke baad

main ne barahma ki tarah aankh kholi

us ka ghana saya

mere wajud par simaT raha tha

us ke laziz phalon mein

mere liye kaDwahaT rengne lagi

main ne apna reza reza wajud sameT kar

gaThDi mein bandha

qutub-numa ko

KHalij bangal ke KHat par rakh kar

panw se Thokar mari

aur hawa par panw rakhta hua

panchwen samt mein aage baDh gaya

main ne apne dil ko yaqin dilaya

ki us ki siskiyon ka muKHatab

main nahin tha

(1448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Apna Wajud GaThDi Mein Bandh Liya In English By Famous Poet Jawaz Jafri. Maine Apna Wajud GaThDi Mein Bandh Liya is written by Jawaz Jafri. Read famous Poem Maine Apna Wajud GaThDi Mein Bandh Liya for youth and Student by Jawaz Jafri. Free Download Maine Apna Wajud GaThDi Mein Bandh Liya in PDF.