Maine Bagh Ki Jaanib PiTh Kar Li

main ne dajla-o-furaat ke mashriq mein

ek qadim aur raushan peD ke niche

sajdon ka KHiraj wasul kiya

aur phaldar daraKHton se Dhake

bagh mein muqim hawa

jise mere aur us aurat ke liye

aarasta kiya gaya tha

jis ki janm-bhumi

meri dain pasli thi

main ne pahli bar use

zindagi ke peD ki sunahri shaKHon ke darmiyan

rengte dekha

wo

peD ki hifazat pe mamur tha

us ki kasni aankhon mein

qail kar lene wali

chamak thi

main ne apni bhuk

imtinaa ke phal pe tastir ki

to meri aankhen

us aurat ke jism ke aar-par

dekhne lagin

aur

bagh ke sabz peD

mere sar se

apne sae ki chhatriyan sameTne lage

main ne zindagi ke peD se lipTe azhdahe ko

tin barabar hisson mein taqsim kiya

ek hisse se

apne sar ke liye shimla ijad kiya

dusre hisse ko

izar-band bana kar kamar ke gird lapeTa

jo bach raha

use apni sathi aurat ke

baalon mein gundha

aur

bagh ki jaanib piTh kar li

meri aurat ne mujh se chhup kar

us ki siyah jald se

apni nili aankhon ke liye

surma ijad kiya

aur raat ke pichhle pahar

apne dudh se

us ki ziyafat karne lagi

main ne muqaddas pahaD ki sab se buland choTi

use dan ki

aur apni peshani

KHak pe rakh di

(2671) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Bagh Ki Jaanib PiTh Kar Li In English By Famous Poet Jawaz Jafri. Maine Bagh Ki Jaanib PiTh Kar Li is written by Jawaz Jafri. Read famous Poem Maine Bagh Ki Jaanib PiTh Kar Li for youth and Student by Jawaz Jafri. Free Download Maine Bagh Ki Jaanib PiTh Kar Li in PDF.