Aah Hum Hain Aur Shikasta-paiyan

aah hum hain aur shikasta-paiyan

ab kahan wo baadiya-paimaiyan

bahr-e-gham hai aur dil-e-KHalwat-pasand

baada hi baada hai aur gahraiyan

ghaflaten ab su-e-manzil le chalin

hoti jati hain KHajil danaiyan

mere talwon ke lahu ka faiz hai

ye kahan thin dasht mein ranaiyan

farq kya hai zindagi o maut mein

uf mohabbat ki qayamat-zaiyan

phir na ubhra jo koi Duba yahan

uf-re bahr-e-ishq ki gahraiyan

josh-e-tufan hai ki maujon ka KHarosh

ab liye hai god mein gahraiyan

le uDa nashsha KHayal-e-yar ka

aa gain hum ko falak-paimaiyan

donon aalam Dub kar gum ho gae

allah allah qalb ki gahraiyan

sar se uncha ho gaya pani 'jigar'

muntazir thin bahr ki gahraiyan

(686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aah Hum Hain Aur Shikasta-paiyan In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Aah Hum Hain Aur Shikasta-paiyan is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Aah Hum Hain Aur Shikasta-paiyan for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Aah Hum Hain Aur Shikasta-paiyan in PDF.