Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein

apne hi sajde ka hai shauq mere sar-e-niyaz mein

kaba-e-dil hai samne mahw hun main namaz mein

bina hai gar to KHak Dal dida-e-imtiyaz mein

jam o KHum-o-subu na dekh mai-kada-e-majaz mein

kis ka farogh-e-aks hai kaun hai mahw-e-naz mein

kaund rahi hain bijliyan aaina-e-majaz mein

subh-e-azal hai subh-e-husn sham-e-abad hai dagh-e-ishq

dil hai maqam-e-irtibaat silsila-e-daraaz mein

parda-e-e'tibar-e-ghair pairahan-e-KHudi hai chaak

husn-e-azal hai jalwa-rez sadma-e-dil-gudaz mein

aql-o-shuur bhi hain kya uqda-e-raaz-e-dahr hain

rah gae aur ulajh ke hum sai-e-kashud-e-raaz mein

yaad kisi ki aa gai kaT gai zindagi ki raat

warna kahan numud-e-subh aisi shab-e-daraaz mein

dafn hai dil jagah jagah kaba hai gam gam par

sajda kahan kahan kare koi harim-e-naz mein

husn ke aastane par nasiya rakh ke bhul ja

fikr-e-qubul-o-rad na kar pesh-kash-e-niyaz mein

KHun ke aansuon se hai zinat-e-husn-e-dil 'jigar'

chahiye dagh-e-ishq bhi sina-e-pak-baz mein

(894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Apne Hi Sajde Ka Hai Shauq Mere Sar-e-niyaz Mein in PDF.