Jhalak Parde Se Yun Rah Rah Ke Dikhlane Se Kya Hasil

jhalak parde se yun rah rah ke dikhlane se kya hasil

ye ThanDi garmiyan bhi darmiyan lane se kya hasil

rahe jab KHak pa-e-shama par jal kar to jalna hai

nahin girya to parwanon ke jal jaane se kya hasil

abad tak sans lene aur gham sahne mein lazzat hai

dayar-e-ishq mein ghabra ke mar jaane se kya hasil

nahin hota hai koi kaam hargiz waqt se pahle

umid-o-arzu mein dil ko taDpane se kya hasil

na yun TuTin na TuTengi kabhi zindan ki diwaren

koi sar phoD kar mar jae mar jaane se kya hasil

taras aaya hai zalim ko na aae kam-nasibon par

taras hi aa gaya jab to sitam Dhane se kya hasil

agar mai-KHwar ek ek bund ko saqi taras jaen

tere jam-o-subu se tere maiKHane se kya hasil

mohabbat ka kahin daman bhara hai bhik mange se

tumhin kah do hamare hat phailane se kya hasil

abhi baqi hai ek ummid-e-marg-e-na-gahan lekin

usi zindan mein phir aae to mar jaane se kya hasil

usi ke tewaron ko dekhti rahti hain taqdiren

dil-e-rahat-talab bechain ho jaane se kya hasil

'jigar' apne liye jina koi jine mein jina hai

na kaam aaen kisi ke to jiye jaane se kya hasil

'jigar' hai zindagi jab tak ki garmi hai mohabbat ki

hua jab sard sina to jiye jaane se kya hasil

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jhalak Parde Se Yun Rah Rah Ke Dikhlane Se Kya Hasil In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Jhalak Parde Se Yun Rah Rah Ke Dikhlane Se Kya Hasil is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Jhalak Parde Se Yun Rah Rah Ke Dikhlane Se Kya Hasil for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Jhalak Parde Se Yun Rah Rah Ke Dikhlane Se Kya Hasil in PDF.