Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin

kyun aashna-e-gham dil-e-wahshat-asar nahin

manus-e-iltifat wo zalim agar nahin

main hun talash-e-rah-e-mohabbat hai dasht hai

saya nahin nishan nahin ham-safar nahin

phir rah-rau se leta hun manzil ka kuchh suragh

sab rahbar hain mere koi rahbar nahin

phir andalib-e-zar ne tinke uTha liye

shayad chaman ujaDne ki is ko KHabar nahin

main aur jam-o-naghma-o-mutrib se wasta

KHush hun ki mera bazm-e-tarab mein guzar nahin

kyun jal na jae tab-e-ruKH-e-yar dekh kar

dil hai ye koi chashm-e-haqiqat-nigar nahin

auraq-e-do-jahan pe jo tahrir ho sake

itna mera fasana-e-gham muKHtasar nahin

zabt-e-junun ne Dhai hain dil ki imaraten

ab is dayar mein koi diwar-o-dar nahin

dil ko supurd karte hain apna payam-e-jaan

ye mo'tabar nahin to koi mo'tabar nahin

paiwast hon na jis mein zamane ke dil 'jigar'

kuchh aur hai wo aap ka tir-e-nazar nahin

kaisi dua kahan ka asar kis ka muddaa

kuchh aag ke siwa mere dil mein 'jigar' nahin

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Kyun Aashna-e-gham Dil-e-wahshat-asar Nahin in PDF.