Lijiye Tabani-e-alam Ke Saman Ho Gae

lijiye tabani-e-alam ke saman ho gae

dil ke zarre uD ke har jaanib pareshan ho gae

dard-e-tanhai se mar jaana to kuchh mushkil na tha

kya kahen gham se magar kuchh ahd-o-paiman ho gae

iltifat-e-dost ka mumkin nahin koi sila

kam hai jaan-o-dil jo sarf-e-shukr-e-ehsan ho gae

tujh se kya len intiqam ai KHak-e-be-barg-o-nawa

wo kahan hain mehr-o-mah tujh mein jo pinhan ho gae

dawat-e-jalwa hai phir barq-e-nigah-e-naz ko

jama phir hasti ke ajza-e-pareshan ho gae

ab main samjha sina-e-sozan ke shaq hone ka raaz

aap pinhan kya hue goya numayan ho gae

jin ko hona hi na tha rah-e-mohabbat mein ghubar

kis tarah wo KHak ke putle phir insan ho gae

KHak-e-dil ke chand zarre uD gae the ek din

ban ke tare aasmanon par daraKHshan ho gae

kuchh KHayal-e-dost aaya tha ki aa pahunchi bahaar

jis taraf dekha gulistan hi gulistan ho gae

husn ne roz-e-azal jab ruKH se sarkai naqab

chand jalwe rang ban kar bazm-e-imkan ho gae

chha raha hai rang har jaanib bahaar-e-husn ka

wa hain jin ke dida-e-dil gul-badaman ho gae

rafta rafta aarzu-e-rastagari miT gai

rah ke zindan mein 'jigar' aazad-e-zindan ho gae

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lijiye Tabani-e-alam Ke Saman Ho Gae In English By Famous Poet Jigar Barelvi. Lijiye Tabani-e-alam Ke Saman Ho Gae is written by Jigar Barelvi. Read famous Poem Lijiye Tabani-e-alam Ke Saman Ho Gae for youth and Student by Jigar Barelvi. Free Download Lijiye Tabani-e-alam Ke Saman Ho Gae in PDF.