Jahl-e-KHirad Ne Din Ye Dikhae

jahl-e-KHirad ne din ye dikhae

ghaT gae insan baDh gae sae

hae wo kyunkar dil bahlae

gham bhi jis ko ras na aae

zid par ishq agar aa jae

pani chhiDke aag lagae

dil pe kuchh aisa waqt paDa hai

bhage lekin rah na pae

kaisa majaz aur kaisi haqiqat

apne hi jalwe apne hi sae

jhuTi hai har ek masarrat

ruh agar taskin na pae

kar-e-zamana jitna jitna

banta jae bigaDta jae

zabt-e-mohabbat shart-e-mohabbat

ji hai ki zalim umDa aae

husn wahi hai husn jo zalim

hath lagae hath na aae

naghma wahi hai naghma ki jis ko

ruh sune aur ruh sunae

rah-e-junun aasan hui hai

zulf o mizha ke sae sae

(981) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahl-e-KHirad Ne Din Ye Dikhae In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Jahl-e-KHirad Ne Din Ye Dikhae is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Jahl-e-KHirad Ne Din Ye Dikhae for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Jahl-e-KHirad Ne Din Ye Dikhae in PDF.