Jo Ab Bhi Na Taklif Farmaiyega

jo ab bhi na taklif farmaiyega

to bas hath malte hi rah jaiyega

nigahon se chhup kar kahan jaiyega

jahan jaiyega hamein paiyega

mera jab bura haal sun paiyega

KHiraman KHiraman chale aaiyega

miTa kar hamein aap pachhtaiyega

kami koi mahsus farmaiyega

nahin khel naseh junun ki haqiqat

samajh lijiyega to samjhaiyega

hamein bhi ye ab dekhna hai ki hum par

kahan tak tawajjoh na farmaiyega

sitam ishq mein aap aasan na samjhen

taDap jaiyega jo taDpaiyega

ye dil hai ise dil hi bas rahne dije

karam kijiyega to pachhtaiyega

kahin chup rahi hai zaban-e-mohabbat

na farmaiyega to farmaiyega

bhulana hamara mubarak mubarak

magar shart ye hai na yaad aaiyega

hamein bhi na ab chain aaega jab tak

in aankhon mein aansu na bhar laiyega

tera jazba-e-shauq hai be-haqiqat

zara phir to irshad farmaiyega

hamin jab na honge to kya rang-e-mahfil

kise dekh kar aap sharmaiyega

ye mana ki de kar hamein ranj-e-furqat

mudawa-e-furqat na farmaiyega

mohabbat mohabbat hi rahti hai lekin

kahan tak tabiat ko behlaiyega

na hoga hamara hi aaghosh KHali

kuchh apna bhi pahlu tahi paiyega

junun ki 'jigar' koi had bhi hai aaKHir

kahan tak kisi par sitam Dhaiyega

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Ab Bhi Na Taklif Farmaiyega In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Jo Ab Bhi Na Taklif Farmaiyega is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Jo Ab Bhi Na Taklif Farmaiyega for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Jo Ab Bhi Na Taklif Farmaiyega in PDF.