Ye Misra Kash Naqsh-e-har-dar-o-diwar Ho Jae

ye misra kash naqsh-e-har-dar-o-diwar ho jae

jise jina ho marne ke liye tayyar ho jae

wahi mai-KHwar hai jo is tarah mai-KHwar ho jae

ki shisha toD de aur be-piye sarshaar ho jae

dil-e-insan agar shaista-e-asrar ho jae

lab-e-KHamosh-fitrat hi lab-e-guftar ho jae

har ek bekar si hasti ba-ru-e-kar ho jae

junun ki ruh-e-KHwabida agar bedar ho jae

suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi

mujhe Dar hai na tauhin-e-jamal-e-yar ho jae

harim-e-naz mein us ki rasai ho to kyunkar ho

ki jo aasuda zer-e-saya-e-diwar ho jae

maaz-allah us ki wardat-e-gham maaz-allah

chaman jis ka watan ho aur chaman-be-zar ho jae

yahi hai zindagi to zindagi se KHud-kushi achchhi

ki insan aalam-e-insaniyat par bar ho jae

ek aisi shan paida kar ki baatil tharthara uTThe

nazar talwar ban jae nafas jhankar ho jae

ye roz o shab ye subh o sham ye basti ye virana

sabhi bedar hain insan agar bedar ho jae

(1960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Misra Kash Naqsh-e-har-dar-o-diwar Ho Jae In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ye Misra Kash Naqsh-e-har-dar-o-diwar Ho Jae is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ye Misra Kash Naqsh-e-har-dar-o-diwar Ho Jae for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ye Misra Kash Naqsh-e-har-dar-o-diwar Ho Jae in PDF.