Ye Zarre Jinko Hum KHak-e-rah-e-manzil Samajhte Hain

ye zarre jin ko hum KHak-e-rah-e-manzil samajhte hain

zaban-e-haal rakhte hain zaban-e-dil samajhte hain

jise sab log husn o ishq ki manzil samajhte hain

buland us se bhi hum apna maqam-e-dil samajhte hain

haqiqat mein jo raaz-e-duri-e-manzil samajhte hain

unhin ko hum suluk-e-ishq mein kaamil samajhte hain

hamein kyun wo jafa-e-KHas ke qabil samajhte hain

ye raaz-e-dil hai is ko mahraman-e-dil samajhte hain

isi ek jurm par aghyar mein barpa qayamat hai

ki hum bedar hain aur apna mustaqbil samajhte hain

nigahon mein kuchh aise bas gae hain husn ke jalwe

koi mahfil ho lekin hum teri mahfil samajhte hain

koi mane na mane is ko lekin ye haqiqat hai

hum apni zindagi mein ghaib ko shamil samajhte hain

ye narm o na-tawan maujen KHudi ka raaz kya jaanen

qadam lete hain tufan azmat-e-sahil samajhte hain

hukumat ke mazalim jab se in aankhon ne dekhe hain

'jigar' hum bambai ko kucha-e-qatil samajhte hain

(1570) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Zarre Jinko Hum KHak-e-rah-e-manzil Samajhte Hain In English By Famous Poet Jigar Moradabadi. Ye Zarre Jinko Hum KHak-e-rah-e-manzil Samajhte Hain is written by Jigar Moradabadi. Read famous Poem Ye Zarre Jinko Hum KHak-e-rah-e-manzil Samajhte Hain for youth and Student by Jigar Moradabadi. Free Download Ye Zarre Jinko Hum KHak-e-rah-e-manzil Samajhte Hain in PDF.