Aaj Mahfil Mein Nae Sar Se Sanwar Aaenge

aaj mahfil mein nae sar se sanwar aaenge

un ko malum hai kuchh ahl-e-nazar aaenge

ru-ba-ru yar ke gar bar-e-digar jaenge

kar ke hum ek baDa marka sar aaenge

ye to dhamki hai ki wo ghair ke ghar jaenge

ham-nashin dekhna hir-phir ke idhar aaenge

sabr karne ko jo kahte hain nahin aate hain

kya mere zaKHm-e-jigar aap hi bhar aaenge

kaun umid meri aap se puri hogi

kaun arman mere aap se bar aaenge

lakh pardon mein rahen mujh se nihan roz-ba-roz

KHwab mein wo mujhe har shab ko nazar aaenge

dar se phir us but-e-pur-fan ke hamare nale

saf zahir hai ki mayus-e-asar aaenge

chashm-e-bina se jo dekhenge mera parda-e-dil

ai masiha kai nasur nazar aaenge

koi kah do ki bas ab aur tawaqquf na karen

warna hum ji se guzarne pe utar aaenge

na-tawani se hamari tujhe kya tera sambhaal

hum tere samne phir sina-sipar aaenge

aazmaenge gham-e-hijr ka ek aur ilaj

kar ke sahra mein kuchh ayyam basar aaenge

rahbari KHak rah-e-ishq mein in se hogi

dil agar hazrat-e-'rahbar' kahin dhar aaenge

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Mahfil Mein Nae Sar Se Sanwar Aaenge In English By Famous Poet Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Aaj Mahfil Mein Nae Sar Se Sanwar Aaenge is written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Read famous Poem Aaj Mahfil Mein Nae Sar Se Sanwar Aaenge for youth and Student by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Free Download Aaj Mahfil Mein Nae Sar Se Sanwar Aaenge in PDF.