Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain

ab jo hum zist mein bezar nazar aate hain

har taraf apne KHaridar nazar aate hain

wo hamein maKHzan-e-asrar nazar aate hain

hum unhen aashiq-e-bezar nazar aate hain

hum ko mai-KHwar hi mai-KHwar nazar aate hain

sab mai-e-ishq se sarshaar nazar aate hain

bad-zani zulm-o-sitam hajw-e-sanam ruswai

ishq mein to baDe aazar nazar aate hain

sab ka dil lete hain aur apna nahin dete hain

aap hum ko baDe hoshyar nazar aate hain

KHatm mujh par hi nahin ishq masiha mere

mujh ko to aap bhi bimar nazar aate hain

ab jo ruswai pe meri unhen dard aaya hai

baryabi ke kuchh aasar nazar aate hain

dasht-paimai se jab aabla-pa sota hun

KHwab mein aap guhar-bar nazar aate hain

ek wo hain ki zamane mein hai shohra jin ka

ek hum mulk pe jo bar nazar aate hain

kuDe-karkaT ka milega na wilayat mein nishan

hind mein har taraf ambar nazar aate hain

kis se shikwa karun 'rahbar' ki sabhi ab to mujhe

mere dilbar ke talabgar nazar aate hain

(1394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain In English By Famous Poet Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain is written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Read famous Poem Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain for youth and Student by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Free Download Ab Jo Hum Zist Mein Bezar Nazar Aate Hain in PDF.