Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum

ek gosha-e-dil mein jo kisi ke hain makin hum

ye zoam hai goya ki hain wali-e-zamin hum

jari hai dilon ka to wahi rabt-e-nihani

har-chand kahin aur hain wo aur kahin hum

kya hai ye makan kya ye dayar aur ye jahan kya

ye auj hai apna ki jahan wo hain wahin hum

ye moajaza-e-ishq hai ek zinda haqiqat

aate hain nazar aaj jahan bhar mein hamin hum

wan apni rasai na sahi dar to hai us ka

hote nahin aghyar se yun chin-ba-jabin hum

har ek mein nazar aati hain kuchh us ki adaen

ulfat na kisi aur se kar baiThe kahin hum

jo chahe kahe iza de ya kuchh kare tazlil

dar chhoD ke us ka nahin ja sakte kahin hum

parwana-e-jannat hamein dilwate hain kyun aap

kah to diya sau bar ki jaenge nahin hum

nazzara-e-alam hai bas ek KHwab-e-pareshan

bedar hue gar nazar aaenge hamin hum

duniya mein hai nairangi-e-taqdir tamasha

the aabla-pa kal to hain ab taKHt-nashin hum

uff ek dil-e-'rahbar' pe hasinon ki ye takrar

lalchaen hamin hum ise pa jaen hamin hum

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum In English By Famous Poet Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum is written by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Read famous Poem Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum for youth and Student by Jitendra Mohan Sinha Rahbar. Free Download Ek Gosha-e-dil Mein Jo Kisi Ke Hain Makin Hum in PDF.